Showing posts with label 1994. Show all posts
Showing posts with label 1994. Show all posts

Wednesday, September 25, 2013

Kuchh Na Kaho (Male) Song Lyrics 1942 A Love Story Movie, Hindi Songs Lyrics

Love Song - Kuchh Na Kaho Song Lyrics from 1942 A Love Story (1994) Movie

kuchh na kaho kuchh bhi na kaho
kuchh na kaho kuchh bhi na kaho
kya kehna hai kya sunna hai
mujhko pata hai tumko pata hai
samay ka ye pal tham sa gaya hai
aur is pal me koi nahi hai
bas ek mai hu bas ek tum ho
kuchh na kaho kuchh bhi na kaho

kitne gehre halke
sham ke rang hai chhalke
parvat se yu utre baadal
jaise aanchal dhalke

kitne gehre halke
sham ke rang hai chhalke
parvat se yu utre baadal
jaise aanchal dhalke

aur is pal me koi nahi hai
bas ek mai hu bas ek tum ho
kuchh na kaho kuchh bhi na kaho

sulgi sulgi saanse
behki behki dhadkan
mehke mehke shaam ke saaye
pighle pighle tanman

sulgi sulgi saanse
behki behki dhadkan
mehke mehke shaam ke saaye
pighle pighle tanman

aur is pal me koi nahi hai
bas ek mai hu bas ek tum ho
kuchh na kaho kuchh bhi na kaho

kya kehna hai kya sunna hai
mujhko pata hai tumko pata hai
samay ka ye pal tham sa gaya hai
aur is pal me koi nahi hai
bas ek mai hu bas ek tum ho


Song Name: Kuchh Na Kaho

Movie Name: 1942 A Love Story

Singer/Singers: Kumar Sanu

Music-Director/Music-Directors: R D Burman

Lyricist: Javed Akhtar

StarCast: Anil Kapoor, Jackie Shroff, Manisha Koirala, Anupam Kher, Danny Denzongpa

Bollywood movie songs lyrics - 1942 A Love Story Movie songs lyrics - Kuchh Na Kaho song lyrics – Hindi Film Song Lyrics is shared at Songs Lyrics Ever.

Sambhaalaa Hai Maine Bahut Apne Dil Ko Song Lyrics Naaraaz Movie, Hindi Songs Lyrics

Love Song - Sambhaalaa Hai Maine Bahut Apne Dil Ko Song Lyrics from Naaraaz (1994) Movie

Sambhaalaa hai maine bahut apane dil ko
Jubaan par teraa phir bhi naam aa rahaa hai
Jahaan raaj koi chhupaayaa na jaaye
Muhabbat mein aisaa mukaam aa rahaa hai
Sambhaalaa hai maine ...

Banaayaa hai maine tujhe apanaa saathi
Rahe kis tarah phir mere hosh baaki
Nazar yoon bahakane lagi hai ki jaise
Mere saamane koi jaam aa rahaa hai
Sambhaalaa hai maine ...

Ye zulfon ke baadal ghanere ghanera
Mere baaju_on par jo toone bikhere
Main samajhaa ki jaise meri dhadakanon ko
Teri dhadakanon kaa payaam aa rahaa hai
Sambhaalaa hai maine ...


Song Name: Sambhaalaa Hai Maine Bahut Apne Dil Ko

Movie Name: Naaraaz

Singer/Singers: Kumar Sanu

Music-Director/Music-Directors: Anu Malik

Lyricist: Qateel Shifai, Rahat Indori

StarCast: Mithun Chakraborty, Pooja Bhatt, Atul Agnihotri, Sonali Bendre, Kunal Khemu


Bollywood movie songs lyrics - Naaraaz Movie songs lyrics - Sambhaalaa Hai Maine Bahut Apne Dil Ko song lyrics – Hindi Film Song Lyrics is shared at Songs Lyrics Ever.

importance of song lyrics

  Song lyrics hold significant importance in various aspects of human life and culture. Here are several reasons why song lyrics are importa...