Monday, November 26, 2018

Sweetheart Song Lyrics, Kedarnath Movie 2018, Sushant Singh Rajput, Sara Ali Khan

“Sweetheart Song Lyrics”

Oh… haaye..

Do nain sitaare hai chand sa mukhda
Kya kehna uska.. Afreen!
Daawat mein jaise ho shahi tukda
Uske jaisi na koi nazneen

Shaahi joda pehan ke
Aayi jo ban thann ke
Wahi toh meri Sweetheart hai
Sharmaaye si bagal mein
Jo baithi hai dulhan ke
Wahi toh meri Sweetheart hai
(x2)

Kaise main kahun shukriya
Uska mujhpe ehsaan hai
Naacheezon ki basti mein wo…
Jo banke aayi mehmaan hai

Lagta hai shaadi ghar mein
Uske aane se jaise
Chalke aayi hai khushkismati


Saari mehfil ki woh jaan bani hai
Kya kehna uska.. Afreen!
Muflis ke dil ka armaan bani hai
Uske jaisi na koi nazneen


Shaahi joda pehan ke
Aayi jo ban thann ke
Wahi toh meri Sweetheart hai
Sharmaaye si bagal mein
Jo baithi hai dulhan ke
Wahi toh meri Sweetheart hai

Wah wah ji wah wah
Kya baat hai!
Wah wah ji wah wah
Kya baat hai!



Song Name: Sweetheart

Movie Name: Kedarnath (2018)

StarCast: Sushant Singh Rajput, Sara Ali Khan

Singers: Dev Negi

Music-Director/Music-Directors: Amit Trivedi

Lyricist: Amitabh Bhattacharya


Bollywood movie songs lyrics – Kedarnath Movie songs lyrics - Sweetheart song lyrics - Hindi Film Song Lyrics is shared at Songs Lyrics Ever. 







Qaafirana Song Lyrics, Kedarnath Movie 2018, Sushant Singh Rajput, Sara Ali Khan



“Qaafirana Song Lyrics”

Inn waadiyon mein takra chuke hain
Humse musafir yun toh kayi
Dil na lagaya humne kisi se
Qisse sune hain yun toh kayi

Aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya.. kya hai? (x2)


Khamishiyon mein boli tumhari
Kuch iss tarah goonjti hai
Kaano se mere hote huve wo
Dil ka pata dhoondhti hai
Beswadiyon mein, beswadiyon mein
Jaise mil raha ho koi zaayka
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya.. kya hai?

Aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya.. kya hai?

La la la…
Aah ha aah ha…


Godi mein pahadiyon ki
Ujli dopahri guzarna
Haaye haaye tere saath mein, acha lage
Sharmeeli akhiyon se tera
Meri nazrein utaarna
Haaye haaye har baat pe, acha lage

Dhalti shaam ne bataya hai
ki door manzil pe raat hai
Mujhko tasalli hai yeh
Ki hone talak raat hum dono saath hain


Sang chal rahe hain
Sang chal rahe hain
Dhoop ke kinaare chhaaon ki tarah
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya.. kya hai?


Aise tum mile ho
Aise tum mile ho
Jaise mil rahi ho itr se hawa
Qaafirana sa hai
Ishq hai ya.. kya hai?




Song Name: Qaafirana

Movie Name: Kedarnath (2018)

StarCast: Sushant Singh Rajput, Sara Ali Khan

Singers: Arijit Singh, Nikhita Gandhi

Music-Director/Music-Directors: Amit Trivedi

Lyricist: Amitabh Bhattacharya


Bollywood movie songs lyrics – Kedarnath Movie songs lyrics - Qaafirana song lyrics - Hindi Film Song Lyrics is shared at Songs Lyrics Ever. 




Friday, November 2, 2018

Manzoor e Khuda Song Lyrics, Thugs Of Hindostan Movie 2018, Amitabh Bachchan, Aamir Khan, Katrina Kaif, Fatima

“Manzoor e Khuda Song Lyrics”
Baba lauta de mohey gudiya mori
Angana ka jhoolna bhi
Imli ki daar waali muniya mori
Chandi ka painjna bhi


Ik haath mein chingariyan
Ik haath mein saaz hai
Hansne ki hai aadat humein
Har gham pe bhi naaz hai


Aaj apne tamaashe pe mehfil ko
Karke rahenge fida
Jab talak na karein jism se jaan
Hogi nahi ye juda


Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda
Anjaam hoga humara jo hai
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda (Manzoor-e-Khuda)
Manzoor-e-Khuda (Manzoor-e-Khuda)
Toote sitaaron se roshan huaa hai
Noor-e-Khuda



Ho chaar din ki ghulami
Jism ki hai salaami
Rooh toh muddaton se aazaad hai
Ho.. hum nahin hain yahan ke
Rehne wale jahaan ke
Woh sheher aaasman mein aabaad hai




Ho khilte hi ujadna hai
Milte hi bichhadna hai
Apni toh kahaani hai yeh



Kaagaz ke shikaare mein
Dariya se guzarna hai
Aisi zindagaani hai yeh



Zindagani ka humpe jo hai karz
Kar ke rahenge adaa
Jab talak na karein jism se jaan
Hogi nahi ye juda



Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda
Anjaam hoga humara jo hai
Manzoor-e-Khuda
Manzoor-e-Khuda (Manzoor-e-Khuda)
Manzoor-e-Khuda (Manzoor-e-Khuda)
Toote sitaaron se roshan huaa hai
Noor-e-Khuda




Baba lauta de mohey gudiya mori
Angana ka jhoolna bhi
Imli ki daar waali muniya mori
Chandi ka painjna bhi
Song Name: Manzoor e Khuda

Movie Name: Thugs Of Hindostan (2018)

StarCast: Amitabh Bachchan, Aamir Khan, Katrina Kaif, Fatima

Singers: Shreya Ghoshal, Sunidhi Chauhan, Sukhwinder Singh

Music-Director/Music-Directors: Ajay-Atul

Lyricist: Amitabh Bhattacharya


Bollywood movie songs lyrics – Thugs Of Hindostan Movie songs lyrics - Manzoor e Khuda  song lyrics - Hindi Film Song Lyrics is shared at Songs Lyrics Ever.



Vashmalle Song Lyrics, Thugs Of Hindostan Movie 2018, Amitabh Bachchan, Aamir Khan, Katrina Kaif, Fatima



“Vashmalle Song Lyrics”
(Are ra ra…)

Raat paune barah pe daal ke sharara
Baghdad se mangayi raat hai




Haal se malangi hai chaal se firangi
Shaitaan ki lugaai raat hai

Iski ada mein kohinoor ka jamaal hai
Shauqeen hai mijaaz se miyan kamaal hai
Angoor ke nichod mein naha ke aayi hai
Mauqe ka fayeda utha le…




Are ra ra…
Hud-dang mache shor mache halle
Ay are ra ra…
Jab tak na dhale raat jashan karle
Haan thirak thirak thirak thirak jhoom le
Vashmalle, vashmalle
Vashmalle yaara vashmalle (x2)





Qaazi bole peena paap hai
Lekin apni tabiyat madira-chaap hai
Na bandhu na sakha, apna kaun sagaa
Ik saaqi hi maai baap hai





Pee ke Fanney Khan ban jaayenge
Gaana aata na ho phir bhi gaayenge
Sur behaal toh kya
Chhoote taal toh kya
Itni bhool chook maaf hai




Sooraj ko doobne se pehle hi salaam hai
Hoti peeyakkadon ki dopahar bhi shaam hai
Gustakh josh ne zara tangdi jo maar di
Dekho zameen pe hosh gir pada dhadam hai





Are ra ra…
Hud-dang mache shor mache halle
Ay are ra ra…
Jab tak na dhale raat jashan karle
Haan thirak thirak thirak thirak jhoom le
Vashmalle, vashmalle
Vashmalle yaara vashmalle (x2)
Song Name: Vashmalle

Movie Name: Thugs Of Hindostan (2018)

StarCast: Amitabh Bachchan, Aamir Khan, Katrina Kaif, Fatima

Singers: Sukhwinder Singh, Vishal Dadlani

Music-Director/Music-Directors: Ajay-Atul

Lyricist: Amitabh Bhattacharya



Bollywood movie songs lyrics – Thugs Of Hindostan Movie songs lyrics - Vashmalle song lyrics - Hindi Film Song Lyrics is shared at Songs Lyrics Ever.


Suraiyya Song Lyrics, Thugs Of Hindostan Movie 2018, Amitabh Bachchan, Aamir Khan, Katrina Kaif, Fatima



“Suraiyya Song Lyrics”

Tu hai sautan name ki
Pathshala prem ki
Hum angootha chhaap
Imtehaan legi kya (x2)


Dhadkano ki chaal pe
Iss keharwa taal pe
Le chuki aalaap
Uspe taan legi kya



Suraiyya jaan legi kya?
Suraiyya jaan legi kya?


Suraiya bas kar bas kar yaar
Suraiya jaan legi kya?


Suraiya-jaan meri jaan
Meri jaan legi kya?
Suraiya jaaaan legi kya?



Haaye ghar Suraiyya-jaan ke
Sar jhuka ke aaye ho
De chuki hai darsan
Ab parshaad degi kya



Ghar Suraiyya-jaan ke
Sar jhuka ke aaye ho
De chuki hai darsan
Ab parshaad degi kya


Sabka dil behla huki
Thumriya bhi gaa chuki
Baandh ke ab saath mein
Aulaad degi kya?




Suraiyya jaan degi kya?
Suraiyya jaan degi kya?



Suraiyya bas kar bas kar yaar
Suraiyya jaan legi kya?
Suraiyya-jaan meri jaan
Meri jaan legi kya?


Nahi toh jaan degi kya?

Hoye meri nazron mein sab ek hai
Meri nazron mein sab ek hai
Kya General kya sipahiya
Sab ke dil mein khushfehmi hai
Wo hi hai mera saiyaan
Haan do pal ki gustaakhi toh
Haste haste deti hai
Mohabbat ka darja Suraiyya


Are are are
Kal ko upar jaana hai
Jaake muh dikhana hai
Thoda toh sudhar ja Suraiya




Are bas bhi kar Suraiyya
Rab se darr Suraiyya
Hai dil tera ya patthar Suraiyya





Saari jaydaat aur mehakmein
Likh diye hai inhone tere haq mai
Inn thago se inn thago se inn thago se
Ab tu Hindostan legi kya…?




Suraiyya jaan legi… haan!




Song Name: Suraiyya

Movie Name: Thugs Of Hindostan (2018)

StarCast: Amitabh Bachchan, Aamir Khan, Katrina Kaif, Fatima

Singers: Vishal Dadlani, Shreya Ghoshal

Music-Director/Music-Directors: Ajay-Atul

Lyricist: Amitabh Bhattacharya


Bollywood movie songs lyrics – Thugs Of Hindostan Movie songs lyrics - Suraiyya song lyrics - Hindi Film Song Lyrics is shared at Songs Lyrics Ever.




importance of song lyrics

  Song lyrics hold significant importance in various aspects of human life and culture. Here are several reasons why song lyrics are importa...