Monday, April 7, 2014

Kaafi Nahi Hai Chaand Song Lyrics, Revolver Rani Movie 2014, Kangna Ranaut

Hindi Songs Lyrics, latest bollywood songs lyrics as Kaafi Nahi Hai Chaand Song Lyrics from Revolver Rani Movie starring Kangna Ranaut, Vir Das.


"Kaafi Nahi Hai Chaand Song Lyrics"


Ha.. ha ha ha ha ha..

Kaafi nahi hai chaand hamaare liye abhi
Aankhein taras rahin hain tumhaare liye abhi
Hum tanha beqaraar nahi intezaar mein..
Hum tanha beqaraar nahi intezaar mein..
Intezaar.. mein..
Yeh raat bhi ruki hai tumhaare liye.. abhi
Kaafi nahi hai chaand hamaare liye abhi

Ja ke soye, soye jaage
Manzar hain sab yeh khwaab ke..

Ho... poochho aake hmmm.. muskura ke
Dil mein hoon kya kya daab ke
Badmaashiyaan behisaab
Angdaayian behijaab
Bebaak jazbaat hain saare aaha ha

Hum tanha beqaraar nahi intezaar mein..
Hum tanha beqaraar nahi intezaar mein..
Intejaar.. mein..
Bechain har koi hai tumhaare liye abhi
Kaafi nahin hai chand hamare liye abhi

Saansein meri ab hain teri
Madhoshiyon ki qaid mein haan..
Hai jo taari beqaraari
Jaane kahaan jaake thame
Sholon pe karke safar
Khushbu se ho kar badar
Olon mein lipte tthe sharaare.. aaha oho..

Hum tanha beqaraar nahi intezaar mein..
Hum tanha beqaraar nahi intezaar mein..
Intezaar.. mein..
Badmast waqt bhi hai tumhaare liye abhi
Ha ha ha kaafi nahi hai chaand hamaare liye abhi


Song Name: Kaafi Nahi Hai Chaand



Movie Name: Revolver Rani


StarCast: Kangna Ranaut, Vir Das



Singers: Asha Bhosle


Music-Director/Music-Directors: Sanjeev Srivastava


Lyricist: Shaheen Iqbal


Bollywood movie songs lyrics - Revolver Rani Movie songs lyrics - Kaafi Nahi Hai Chaand song lyrics - Hindi Film Song Lyrics is shared at Songs Lyrics Ever.


No comments:

Post a Comment

importance of song lyrics

  Song lyrics hold significant importance in various aspects of human life and culture. Here are several reasons why song lyrics are importa...